📖📖📓📓📖📖📓📓📖📖
▩▩▩▩▩▩▩▩▩◈◈■◈◈■◈◈▩▩▩▩▩▩▩▩▩
☞ milad un nabi ﷺ - Milad un Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ -Hadith ki Roshni me....
▩▩▩▩▩▩▩▩▩◈◈■◈◈■◈◈▩▩▩▩▩▩▩▩▩
▩▩▩▩ 🅿ART:- 2⃣ ▩▩▩▩
📝 ☞ Milad ki Mehfil ya Julus mein Allah aur uskey Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ﷺ
ka zikr hota hai:
📝 ☞ Abu Huraira Radi Allahu Anhu se aur Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ﷺ
ne farmaya jab koi jamaat Allah ka zikr karti hai to farishtey unko gher lete hain, aur Rahmat Un par cha jati hai,
aur un par taskeen nazil kar di jati hai phir Allah apni majlis mein unka zikr karta hai -
📚 jamia Tirmidhi, Vol 2, ilm ka Bayan, Hadith 1302
📝 ☞ Jo log ye kahtey hain ki Rasoollallah ne us din Duniya se parda kiya tha to uska gam kyu nahi kartey to uska jawab ye hai ki khud Rasoollallah sallalllahhu alaliihi wasallam ﷺ ne 3 din se ziyada Sog karney ko mana kaha ( sirf aurat apney khawind ke marney par 4 mahiney 10 din sog kar sakti hai) hai aur iska dusra jawab ye hai ki |
Rasoollallah Sallallahu Alalihi wasallam ﷺ apni barazakhi hayat mein bhi Zinda hain aur uska sabut in sahi haidth se milta hai :
📝 ☞ Hadith: Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ﷺ ne farmaya agar tum mein se koi mujhe salam karta hai to Allah taala meri rooh ko wapas lauta deta hai aur main uskey salam ka jawab deta hu
📚Sunan Abu Dawud, Vol2, 273
📝 ☞ Jumaa ke din mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ Hamara Durud parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ﷺ ne farmaya Allah taala ne Anbiya karam ke Jism ko Mitti par haram kar diya hai...
📚 Sunan Abu Dawud, Vol 1 1035
📝 ☞ Jo log puchtey hain ki Sahaba radi allahu anhu ne Milad kyun nahi manaya wo pahley in sawalon ka jawab de de, unhey khud uska bhi Jawab mil jayega:
1⃣ 📝 ☞ Kya Rasoollallah Sallalhu Aalihi wasallam ﷺ aur sahabaa radi allahu anhuma kabhi zer, zabar aur tashdeed (punctuation) wala Quran use kartey they...?? Quran bina zer, zabar aur tashdeed ke nazil hua tha.
2⃣ 📝 ☞ Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ﷺ aur sahaba radi allahu anhuma Eid ke din galey mithey they ?
3⃣ 📝 ☞ Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ﷺ aur sahabaa radi allahu anhuma apne Aapko salfi ya Ahl-e-hadith ya taablighi ya barelvi kahtey they Rasoollallah Sallalhu Alihi wasallam ﷺ aur sahaba apney naam ke saath kunniyat (yani walid ka naam) lagatey they na ki Salfi ya aur kuch.
4⃣ 📝 ☞ Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ﷺ aur sahabaa radi allahu anhuma kabhi tasbeeh ke daney use kartey they ? wo sab apney Haath ki ungliyon par tasbeeh parhtey they
5⃣ 📝 ☞ Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ﷺ ne Sarey Ramadhan tarweeh ek jamaat ke saath parhi thi ya parhayee thi ??Abu bakr radi allahu anhu ke zamaney tak log alag alag aur giroh giroh taraweeh parhtey they aur Hazrat umar radi allahu anhu ne sabko ek jamaat ke saath ada karney ka hukm diya aur ye bhi kaha ki نعم البدعة هذه kya hi Achchi Bidat hai
📚(Sahih bukhari, Vol 3, 2010)
6⃣ 📝 ☞ Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ﷺ aur sahabaa radi allahu anhuma ne kabhi Quran ka Urdu ya English Tarjumah parha ?? Hona to ye chaiye tha ki jisey Quran ko samajhna ho wo Arbi sikhta aur usey samajhta kyunki Rasoollallah Sallalhu Alihi wasallam ﷺ aur sahabaa radi allahu anhuma ne Quran kareem ko Arbi mein parha aur usi language mein samjha.
7⃣ 📝 ☞ Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ﷺ aur sahabaa radi allahu anhuma ne kabhi internet par Dawat aur tablig ki thi.??
8⃣ 📝 ☞ Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ﷺ ke zamaney mein Jumaa ke din Do Azan di jati thi ??... Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ﷺ aur Abu Bakr aur Umar radi allahu anhu ke zamaney tak sirf ek hi adhan thi .Uthman radi allahu anhu ne Logon ki taadad badney ki wajah se Do Adhan karwayee.
9⃣📝 ☞ Kya Rasoolallah Sallallhu Alaihi wasallam ﷺ ke zamaney mein Quran ko 30 paro mein jamaa kiya gaya tha ????? Abu Bakr radi allahu aur digar sahaba ne Umar radi allahu anhu ke kahney par Quran ko 30 paro mein jamaa kiya
Sahaba Radi Allahu nahuma ne bhi Deen mein naye naye kaam nikaley they jo Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ﷺ ke zamaney mein nahi hotey they aur usey accept kiya...
▩▩▩▩▩▩▩▩▩▣▣■◈◈■▣▣▩▩▩▩▩▩▩▩▩
Continue....
Posted by.....
🍄🍄 TALIB E DU'AA
🍄🍄 Jamaluddin Raza
↭↭↭↭↭↭↭↭↭↭↭↭↭↭↭
No comments:
Post a Comment