📖📖📓📓📖📖📓📓📖📖
▩▩▩▩▩▩▩▩▩◈◈■◈◈■◈◈▩▩▩▩▩▩▩▩▩
☞ milad un nabi ﷺ - Milad un Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam -Hadith ki Roshni me....
▩▩▩▩▩▩▩▩▩◈◈■◈◈■◈◈▩▩▩▩▩▩▩▩▩
▩▩▩▩▩▩▩ 🅿ART :- 1⃣ ▩▩▩▩▩▩▩
📝 ☞ Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ﷺ - ke Youm-e-Wiladat (Milad) ki tazim kiya karo:..
Rasoollallah Sallalalahu Alalhi wasallam ﷺ - khud Apney Milad ke din khas Roza rakh kar Allah ka Shukr Ada kartey they aur wo bhi every week aur Aajkal kuch nadan saal mein ek baar us Din ki Tazim karney walo ko Gumraah kahtey hain, kam se kam jo uski tazim na karey wo khamosh rahey:..
📝 ☞ Hadith: Abu Qatada Ansari radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alalhi wasallam ﷺ -
se pucha Peer ke din ( yani monday) ke rozey ke barey mein (yani aap us din roza kyun rakhtey ho) to Aap Sallalalahu alalhi wasallam ﷺ -
ne farmaya ki main us din Paida hua tha (ذلك يوم ولدت فيه ) aur us din mujh par wahi nazil huyee thi.
Sahih Muslim, 2747
📝 ☞ Milad ki khushi mein Ghulam aazad karney par Kabr mein Abu Lahab ka bhi Azab halka hua:..
📝 ☞ Urwa radi Allahu anhu se rivayat hai ki Sobiya Radi Allahu Anha Abu lahab ki Ghulam (Khadima)thi (jab Rasoollallah sallallahu alaihiwasallam ﷺ - ke paida honey ki khabar usney di to) Abu Lahab ne usko Azad kar diya tha,usney Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ﷺ -
ko doodh pilaya tha jab Abulahab mar gaya to usko kisi azeez ne marney ke baad khwab mein burey haal mein dekha, usney kaha ki jabse main tumse Juda hua hu kabhi Aaram nahi mila Ek zara sa pani (Peer ke din) mil jata hai wo bhi isliye ki mainey Sobiiya ko ...
(wiladat ke khabar dene ki khushi mein)Aazad kar diya tha...
Sahih Bukhari, vol 6, 5101 (Ref: Sahih Bukhari, vol 7,Tashreeh 5372)
📝 ☞ Agar koi ye kahey ki ye naya amal hai pahley nahi hota tha usey ye Hadith jarur parhni chahiye
☞ Hadith: Jarer bin Abdullah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya
Jo Shaksh Islam mein achchi baat nikale phir log iskey baad us par Amal karey to usko itna sawab hoga jitna sab Amal karney walo ko hoga,..
aur Amal karney walon ke sawab mein kuch kami na hogi aur Jo islam mein buri baat nikale log uskey baad us par amal karey to tamam Amal karney walo ke barabar Gunaah us par likha jayega aur Amal karney walo ka Gunaah kuch kam na hoga...
( Sahih Muslim, 6800 & jamia Tirmidhi, Vol 2, ilm ka Bayan, Haidth 570)
▩▩▩▩▩▩▩▩▩◈◈■◈◈■◈◈▩▩▩▩▩▩▩▩▩
Continue...
Posted by...
🍄🍄 TALIB E DU'AA
🍄🍄 Jamaluddin Raza
↭↭↭↭↭↭↭↭↭↭↭↭↭↭↭
No comments:
Post a Comment